Ramazan
Khana
kaba is called the house of Allah same as Ramazan is called
the month of Allah. There are four name of ramazan Mah Ramzan,
Mah Sabar, Mah Wasyat-e-Rizq and Mah Muasaat. Here is describing
about Ramaza in detail in Urdu.
|
||||||||
|
||||||||
Ramadan in Urdu:Is maah Mubarak ke kul char naam hain:
Hazrat Muhammad (SAW) ka farman-e-aalishan hai keh jab mah-e-Ramzan ki pehli raat aati hai to aasmano’n aur jannat ke darwaze khol diye jate hain aur aakhir raat tak bun nahi hote. Jo koi ban-dah is mah-e-mubarak ki kisi bhi raat mein namaz parhta hai to Allah Taaal us ke har sijdah ke ewaz (yani badlah mein) us ke liys 1700 nekiyan likhta hai aur us ke liye jannat mein surkh yaaqut ka ghar banata hai. jis mein 70000 darwaze hon gay. Aur har darwaze ke donon pat sone ke bane hon gay jin mein yaqut surkh jare hon gay. Pas jo koi Mah-e-Ramzan ka pehla rozah rakhta hai to Allah taala mahine ke aakhir din tak us ke gunah muaaf farma deta hai. Dusre ramzan tak us ke liye kuffarah ho jata hai aur har woh din jis mein yeh rozah rakhe ga us har rozah ke badle mein use aik hazar sone ke darwazon wala mehal jannat mein ata hoga aur us ke liye subbah se shaam tak 70000 farishte duayein maghfarat karte rahein gay. Raat aur din mein jab bhi woh sijdah karay ga us har sijdah ke ewaz (yani badle) use (jannat mein) aik aik aisa darakht ata kare ga keh agar uske niche aik ghoray (horse) sawar 100 saal tak bhi chale to bhir bhi us aik darakht ke dusre siray tak na puhanch sake. Hadees ke mutabiq Ramzan-ul-Mubarak ki raaton mein namaz ada karne wale ko har aik sijdha ke badle mein 1700 nekiyan ata ki jati hain. Sarkar do aalam (SAW) ne irshad farmaya “ rozah dhal hai. Jis tarah dhal talwaar ke waar ko rokti hai isi tarah rozah bhi jahannam ki aag-o-azaab se rozah-dar ka bachao karta hai. Qiyamat mein jab dozakh gunahgar par hamlah aawar hogi to muhkam hoga jo log roza dar mare hain kahan hain? Jab woh samne jayain gay to dozakh un ki bu pehchaan kar 40 baras ke faasle par un se dur hut jaye gi. |
Ramzan
Subscribe to:
Posts (Atom)
No comments:
Post a Comment